Asaramayan
This is the life story of Param Pujya Bapuji ,which inspires one & all specially the children .It teaches them that one can attain success and happiness by practicing concentration one can gain strong will power.'Paath 'or sincere reading of "Asaramayan" 108 times ,has been very fruitful for millions of Bapuji's sadhak brothers & sisters, this is a fact...But "Faith" ( Shraddha - Bhaav) is the main component that works.... .... Hari Om
Shri guru charan raj sheesh dhari
hriday roop vichaari shri asaramayan kaho
vedanta ko saar
dharm kaamaarath moksha de rog shok sanhaar
bhaje jo bhakti bhaav se shigraha ho beda paar
Bhaarat sindhu nadi bakhaani Nawaab jile mein gaanv berani
rehata ek seth gunkhaani naam thaumal sirumalani
aagya mein rehati mehgiba pati parayan naam mangiba
chait vad cha unees athaanve aasumal avtarit aangne
maa man mein umada sukh sagar dwaar pe aaya ek saudagar
laaya ek ati sundar jhoola dekh pita man harsh se phula
sabhie chakit ishwar ki maya uchit samay par kaise aaya
ishwar ki yeh leela bhari baalak hai koi chamatkaari
Hari om Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om Hari om
Sant seva aur shruti shravan maat pita upkaari
dharma purush janma koi punyo ka phal bhari
surat thi baalak ki saloni, aate hi kar di anhoni
samaaj mein hti maanyata aisi ,prachalit ek kahavat aisi
teen behan ke baad jo aata putra woh trekhan kehalata
hota ashubh amangal kaari daridrata laata hai bhari
viparit kintu diya dikhaai ghar mein jaise lakshmi aayi
tirloki ka aasan dola kuber ne bhandaar hi khola
maan pratishtha aur badhai sab ke man sukh shanti chaai
Hari om Hari om Hari Om Hari om
Hari om Hari om Hari om Hari Om
Tejomay baalak badha aanand badhaa apaar
sheel shanti ka atmadhan karne lagaa vistaar
Ek dinaa thaumal dwaare kul guru parshuraam padhaare
jyun hi ve baalak ko nihaare anaayaas hi sahasa pukaare
yah nahin baalak saadharan devi lakshan tej hai kaaran
netron mein hai saatvik lakshan iske kaarya bade vilakshan
yah to mahaan sant banega logon ka udhaar karega
suni guru ki bhavishya vaani gad gad ho gaye sirumalani
maata ne bhi maatha chooma har koi lekarke ghooma
Hari om Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om Hari om
Gyaani vairaagi poorva ka tere ghar mein aaye
putra tera kehalaye janm liya hai yogi ne
paawan tera kul hua janani kok kritarth
naam amar tera hua, purna chaar purushaarth
saitaalis mein desh vibhajan, pak mein choda bhu pashu au dhan
bharat ahmedabad mein aaye maninagar mein shiksha paaye
badi vilakshan smaran shakti asumal ki ashu yukti
tivra buddhi ekagra namrata tvarit kaarya aur sehansheelta
asumal prasann mukh rehate shikshak hasmukhbhai kehate
pista badam kaaju akhrota bhare jeb khaate bahr peta
de de makkhan mishri kuja maa ne sikhaya dyan aur pooja
hue brahmavidya se yukta ve vahi ahi vidya ya vimuktaye
bahut raat tak pair dabaate bhare kanth pitu aashish paate
Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om
Putra tumahara jagat mein sada rahega naam
logon ke tumse sada puran honge kaam
sir se hati pita ki chaaya tab maaya ne jaal phailaya
bade bahi ka hua dushashan vyarth hue maa ke aashwashan
choota vaibhav schooli shiksha shooro ho gai agni pariksha
gaye siddhpur naukari karne krishna ke aage bahaaye jharne
sevak sakha bhaav mein bheeje , govind madhav tab reejhe
ek dina ek maai aayi boli he bhagwan sukhdaayi
pade putra dukh mujhe jhelne khoon case do bete jail mein
bole aasu sukh paavenge nirdosh jaldi chut jaaavenge
bete ghar aaye maa bhaagi aasumal ke paavon lagi
Hari om Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om Hari om
Aasumal ka pushta hua aalokik prabhaav
vaak siddhi ki shakti ka ho gaya pradurbhaav
baras siddhpur teen bitaaye laut ahmedabaad mein aaye
karne lagi lakshmi nartan kiya bahi ka dil parivartan
daridrata ko door akr diya ghar vaibhav bharpur kar diya
cinema unhe kabhie na bhaaye balat le gaye rote aaye
jis maa ne tha dhyaan sikhaya usko hi ab rona aaya
maa karna chahti thi shaadi aasumal ka man vairaagi
phir bhi sabne shakti laagayi jabran kar di unki sagaai
shaadi ko jab hua unka man aasumal kar gaye palayan
Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om
Pandit kaha guru samarth ko ramdas savdhan
shaadi pher phirte hue bhaaage chuda kar jaan
karat khoj mein nikal gaya dum mile bharuch mein ashok ashram
kathinaai se mila raasta pratishtha ka diya vaasta
ghar mein laaye aajmaaye gur baarat le pahunche aadipur
vivaah hua par man dridhaaya bhagat ne patni ko samajhaaya
apna vyauhar hoga aise jal mein kamal rehata hai jaise
saath rahe jyun aatma kaaya saath rahe vairaagi maya
Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om
Anashwar hoon main jaanta satchit hoon anand
stithi mein jeene lagoon hove parmanand
mool granth adhyan ke hetu sanskrit bhasha hai ek setu
sanskrit ki shiksha paayi gati aur sadhana badhaai
ek shlok hriday mein paitha vairagya soya uth baitha
asha chod nairashyavalambit uski shiksha purna anushthit
lakshmi devi ko samjhaya isha praapti dhyeya bataaya
chod ke ghar main ab jaoonga lakshya prapt kar laut aaoonga
kedarnath ke darshan paaye lakshadhipati ashish paye
puni pooja punah sankalpaaye isha prapti ashish paye
aaye krishna leela sthali mein vrindavan ki kunj galin mein
krishna ne man mein aisa dhaala ve ja pahunche nainitala
wahan the shrotriya bramhanishthit swami leelashah pratishtit
bhitar taral thee bahar kathora nirvikalp jyun kagaz kora
purna swatantra param upkari brahmanishtha atmasakhshatkari
Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om
Ishakrupa bin guru nahin guru bina nahin gyaan
gyaan bina atma nahin gavahi ved puraan
jaanne ko saadhak ki koti sattar din tak hui kasoti
kanchan ko agni mein tapaaya ,guru ne aasumal bulwaya
kaha grihasth ho karma karna dhyan bhajan ghar par hi karna
aagya maani ghar par aaye ,paksha mein moti koral dhaaye
narmada tat par dhyan lagaaye , lalji maharaj aakarshaye
saprem shilswami pahadhaye dattakuteer mein sagrah laaye
umada prabhu prem ka chaska anusthan chaalis diwas ka
mare chha shatru stithi paayi brahmanishtatha sahaj samai
shubahsubh sam rona gan grishma thand maan aur apmana
tripta ho khaana bhook aru pyaas mahal au kutiya aas niraas
bhakti yog gyaan abhiyaasi hue samaan magahar aur kaasi
Hari om Hari om Hari om
Hari om Hari om Hari om
Bhaav hi kaaran ish hai na swarna kaath paashan
sat chit anand roop hai vyaapak hai bhagwan
brahmoshan janardhan saarad shesh ganes h
niraakar sakar hai , hai sarvatra bhavesh
hue aasumal brahmaabhyaasi , janm aneko laage baasi
door ho gayi aadhivyaadhi siddha ho gayi sahaj samadhi
ik raat nadi tat man aakarsha aai jor se aandhi varsha
band makaan baramda khali baithe wahin samadhi lagaali
dekha kisine socha daku laaye laathi bhala chaku
daude chikhe shor mach gaya, tuti samadhi dhyaan khinch gaya
sadhak utha, the bikhare kesha raag dvesh na kinchit lesha
saral logon ne saadhu mana ,hathyaaron ne kaal hi jaana
bhirav dekh dusht ghabaraye, pahalwan jyun mall hi paaye
kaamijanon ne aashiq mana, sadhujan kinhe parnaama.
Hari Om Hari Om Hari Om
Hari Om Hari Om Hari Om
Ek drishti dekhe sabhie chale shaant gambhir
sashastron ki bheed ko sahaj gaye ve cheer
Maata aayi dharam ki sevi saath mein patni lakshmi devi
dono phut phut kar roi ,rudan dekh karuna bhi roi
sant lalji hridaya pasija , har darshak aansoo mein bhija
kaha sabhie ne aap jaaiyo ,asumal bole ki bhaiyon
chaalis diwas hua na pura, anusthaan hai mera adhura
asumal ne chodi titiksha ,maa patni ne ki partiksha
jis din gaon se hui vidaai jaar jaar roe log lugai
ahmedabad ko hue ravan ,miyagaon se kiya payana
mumbai gaye guru ki chaah ,mile vahin pe Lilashah
param pita ne putra ko dekha ,surya ne ghat jal mein pekha
ghatak tod jal jal mein milaya,jal prakash aakash mein chaya
nij swaroop ka gyaan dridhaya, dhai diwas hosh na aaya
Aasoj sud do diwas , sanwat bees ikkis
madhyaanh dhaai baje mila ees se ees
deh sabhie mithya hui jagat hua nissar
hua aatma se tabhi apna sakhshatkar
param swatantra purush darshaya,jeev gaya aur shiv ko paaya
jaan liya hoon shant niranjan,laagu mujhe na koi bandhan
yah jagat sara hai nashwar, main hi shaswat ek anashwar
deed hai do par dristi ek hai , laghu guru mein wahi ek hai
sarvatra ek kise batlaaye, sarv vyaapt kahaan aaye jaaye
anant shaktiwals avinashi . riddhi siddhi uski daasi
sara hi brahmand pasara ,chale iski iccha anusara
yadi wah sankalp chalaaye , murda bhi jeevit ho jaaye
Hari Om Hari Om Hari Om
Hari Om Hari Om Hari Om
Brahmi stithi prapt kar kaarya rahe na shesh
moh kabhie na thag sake ichha nahin lavlesh
purna guru kirpa mili purna guru ka gyaan
asumal se ho gaye sai asaram
jaagrat swapna sushupti chete , brahmanand masti mein rehete
khaate peete mon ya kehate ,brahmanand masti mein rehate
raho grihasta guru ka aadesh ,grihast sadhu karo updesh
kiye guru ne vaare nyaare, gujarat disa gaon padhare
mrut gaay diya jeevan dana, tab se logon ne pehachana
dwaar pe kehate narayan hari, lene jaate kabhie madhukari
tab se ve satsang sunaate,sabhie aarti shanti paate
jo aaya uddhar kar diya,bhakt ka beda paar kar diya
kitne marnasann jilaaye,vyasan maans aur maddya
Hari Om Hari Om Hari Om
Hari Om Hari Om Hari Om
Ek din man ukta gaya kiya disa se kunch
aayi moj fakir ki diya jhopada phuk
ve naareshwar dhaam padhare , ja pahunche narmada kinare
meelon peeche choda mandar , gaye ghor jungle ke andar
ghane vriksha tale patthar , baithe dhayaan niranjan ka dhar
raat gayi prabhaat ho aayi baal ravi ne surat dikhaai
praatah pakshi kaoyal kuakanta, chuta dhyaan uthe tab santa
pratarvidhi nivrit ho aaye , tab aabhas sudha ka paaye
socha main na kahin jaoonga ,yahin baith kar ab khaoonga
jisko garaj hogi aayega shristi karta khud laayega
jyun hi man vichaar ve laaye tyun hi do kisan wahan aaye
dono sir par baandhe saafa , khadya peya liye dono haatha
bole jeevan safal hai aaj arghhy swikaro maharaj
bole sant aur pe jao jo hai tumhara use khilao
bole kisan apko dekha ,swapna mein marg raat ko dekha
hamara na koi sant hai duja , aao gaon karein tumhari pooja
asaram tab man n mein dhaare, nirakar aadhar hamare
piya dudh thoda phal khaya, nadi kinare jogi dhaaya
Hari Om Hari Om Hari Om
Hari Om Hari Om Hari Om
Gandhinagar gujarat mein hai motera gram
bramhanishta shri sant ka yahin hai paavan dhaam
atmanand mein mast hai kare vedanti khel
bhakti yog aur gyaan ka satguru karte mel
saadhikaaon ka alsg ashram naaroi uthhan
naari shakti jagrit sada jiska nahin bayaan
baalak vriddha aur nar naari sabhie prerna paaye bhari
ek baar jo darshan paaye ,shanti ka anubhav ho jaaye
nitya vividh prayog karaye ,naadanusandhan bataye
naabhi se ve om kehalayen ,hriday se ve ram kehalayen
samanya dhyaan jo lagaye unhein ve gehare mein le jaye
sabko nirbhay yog sikhayen, sabka atmotthan karayen
amritmay prasad jab dete, bhakt ka rog shok har lete
jisne naam ka daan liya hai , guru amrit ka paan kiya hai
unka yog kshem ve rakhte , ve na teeno taapon se tapte
dharm kamarath m,oksha ve paate aapad rogon se bach jaate
sabhie shishya raksha pate hain sukshma shareer guru aate hain
sachmuch guru hai deen dayal ,sahaj hi kar dete hai nihaal
ve chaahate sab jholi bahr le nij atma ka darshan lein
ek sau aanth jo paath karenge ,unke sare kaaj sarenge
gangaram sheel hai dasa, hongi purna sabhie abhilasha
Hari Om Hari Om Hari Om
Hari Om Hari Om Hari Om
varabhayadata sadguru param hi bhakt krupal
nischal prem se jo bhaje sai kare nihaal
man mein naam tera rahe ,mukh pe rahe sugeet
humko itna dijiye , rahe charan mein preet .
Hari Om Hari Om Hari Om
Hari Om Hari Om Hari Om !!!!!!
Importance of sadguru Krishna a devotee of love Prerak prasang Ayurved Guruaarti Bhajans Asaramayan Aapke Patra New
Bapuji' schedule Sign Guest Book View guest Book Index